Hindi Shayari : Jo Aapko Abhi Takleef Me Nhi Dekh Sakte Hai

Abrar khan
By -
0

मैं अबरार खान आपका स्वागत करता हूं अपने इस ब्लॉग पर, आपको यहां बहुत ही खूबसूरत शायरियों का कलेक्शन मिलेगा। मैं आशा करता हूं आपको ये शायरियां पसंद आयेगी। अगर आपको मेरी शायरियां अच्छी लगती है तो कमेन्ट करके जरूर बताए धन्यवाद

Jub Hum Sone Ke Liye Rone Ka Natak Karte The

1. Jab hum chote the to sone ke liye,

rone ke natak karte the,

Par aaj hum jab bade ho gye hai To,

Rone ke liye sone ka natak karte hai.

Jaari Rakhenge Hum Duao Ka Silsila

2. Jo tum Chaaho wo Tumhara ho,

Roshan raate aur khoobsurat sawera ho,

Jaari Rakhege ham Duao ka Silsila,

Ki kaamyaab Har manjil pe dost hamara ho.

Itna Khubsurat Chehra Hai Tumhara

3. Itna khoobsurat chehara hai tumhara..

Har Koi  dil diwana hai tumhara,

Log khte hai chand ka Tukda ho tum.

lekin Ham khte hai chand Tukda hai Tumhara.

Aankhe Bhar Aati Hai Mohabbat Ke Naam Se

4. Pi Hai Sharab Har Gali Ki Dukan Se,

Dosti Si Ho Gayi Hai Sharab Ki Jam Se,

Gujre Hai Hum Kuch Aise Mukam Se,

Ki Aankhen Bhar Aati Hai Mohabbat Ke Nam Se.

Mohabbat Krke Kisi Se Ye Dil Rota Hai

5. Toota ho dil to dukh hota hai,

Karke Mohabbat kisi se ye Dil rota hai,

Dard ka Ehsaas to Tab hota hai,

Jub Kisi se Mohabbat ho aur Uske Dil Me koi aur hota hai.

एक टिप्पणी भेजें

0टिप्पणियाँ

Thank you. Aese Hi Padhte rhiye hmare blog ki Shayari or Hume Support krte rhiye

एक टिप्पणी भेजें (0)